| aaj desh ke bare me sochta hi kaun hai? netaaon ko apni jebe bharne se hi furshat nahi hai. aaye din naye naye ghotale samne aajate hain. aam aadmi to in ghotalo se aur inse hone wali mahgayee se hi paresaan hai. corruption itna ki sarkari naukri ke to sare raste hi band ho gaye hain. log kule aam paise ki demand karte hai. aur hain demand bhi todi bahut nahi lakhon me hoti hai jo ek sadharan vyakti ke bas ka nahi. Kai vibhaag aise bhi hain jahan vacancy create hoti hain, vgyapan nikalta hai, aavedan/ pariksha sulk ke naam par 400 / 500/ 1000 rupaye le lete hain aur sari aupchariktayen poori hone ke baad bhi result out nahi hota kyun ki kahi koi neta ki sipharis hoti hai ye kahi paisa nahi pahunchta. kya hoge bhavisye me , mai yahi soch kar kabhi kabhi vyathit ho jata hoon. kya is desh se bharastachar katam ho payega aur ye neta nagri wale log sudhar payenge ya phirr......... |
Comments
Post a Comment